Shab E Meraj Ke Nawafil Namaz
๐๐ด๐๐ด๐๐ด๐๐ด๐๐ด
*๐ฅ SHAB E MERA'AJ KE NAWAFIL NAMAZ ๐ฅ*
*_Maah e Rajab ki 27wi shab ko namaaz e Ishaa ke baad in namaazo ko padhen._*
*_(1) 2 Rak'at nafl Tahyat ul Wuzu padhen._*
_Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 1 baar Aayat ul Kursi aur 3 baar Surah al-Ikhlaas padhen._
_In shaa Allฤh har katra paani ke badle 700 rak'at nafl namaaz ka แนกawaab milega._
*_(2) 12 rak'at namaaz 4-4 karke padhen._*
_Pehli 4 rak'at me har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad 3 martaba Surah al-Qadr padhen. Salaam ke baad baith kar 70 martaba ‘Laa ilฤha illallฤhul malikul haqqul mubeen’ padhen._
_Dusri 4 rak'at me har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Nasr 3 martaba padhen._
_Salaam ke baad baith kar 70 martaba ‘Laa ilฤha illallฤhul malikul haqqul mubeen’ padhen._
_Teesri 4 rak'at me har rak'at me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba padhen._
_Salaam ke baad baithkar 70 martaba Surah Alam nashrah padhen._
_Phir yaqeen ke saath ALLฤH sub'hฤn wa ta’ala ki baargaah me us ke Habeeb sallallฤhu Alaihi wasallam ke waseele se dua karen. In shaa Allฤh ALLฤH ta’ala har jaa'iz haajat puri farmaega._
*_(3) 4 rak'at namaaz 2-2 karke padhen._*
_Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 27 martaba padhen._
_Salaam ke baad 70 martaba Durood shareef padhen aur 70 martaba Astaghfaar padhen :_ _‘Astaghfirullฤhallazee laa ilฤha illa huwal hayyul qayyoom wa atoobu ilaihi’ aur apne gunaaho ki maghfirat talab karen. In shaa Allฤh ALLฤH ta’ala apni rahmat e kaamila se gunaah muaf farmakar maghfirat farmayega._
*_(4) 20 rak'at namaaz 2-2 karke padhen._*
_Har rak'at me Surah al-Faatiha ke baad Surah al-Ikhlaas 1 martaba padhen._
_Phir yaqeen ke saath Dua karen. In shaa Allฤh ALLฤH ta’ala jaan o maal ki hifaazat farmaega._
_▪▪► Agar koi Surah yaad na ho to har rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas ya dusri jo Surah yaad ho wo padhen._
_▪▪► Aur kisi wajah se tamaam namaaz na padh saken to jitni padh sakte hain utni padhen aur phir Tilaawat e Qur’an, Kalma, Zikr ya Durood shareef padhte rahen._
_▪▪► Aur apne liye aur tamaam ummate Mustafa ke liye Dua e khair aur apne aaba wa ajdaad aur tamaam marhoomeen ke liye Due e maghfirat karen._
_Aur tamaam musalmano ke liye dua e khair karen, Khaas kar un ke liye jinko corona bimari lagi hai aur sare Sunni Musalmano ke liye dua kare ke corona bimari se Allah hum Sunni Musalmano ko Mahfooz rakhiye aur unke liye dua kare jin ke hum par ehsaan hain aur hum se jin ke huqooq ul ibaad me galti (gunaah) ho gaye ho._
_Aur jin ko takleef pahunchai hai ya jin ka dil dukhaaya hai un sab se muafi maang len aur jo jo naraaz [roothe hue] hain unhe mana len aur jin se ta’alluq [rishta] toota hua hai un se phir se rishta jod len._
_▪▪► Jin ki namaazen Qaza ho gai hain wo pehle jitni mumkin ho utni Qaza namaaz padhen taake bariuz zimma ho jaaye._
_Aur tauba karke ye pakka ahad karen ke aa'inda sab namaaz waqt par ada karne ki koshish karenge aur namaaz ke foyuz o barkaat haasil karte rahenge._
_Nafl namaaz ka pura sawaab usi ko milta hai jo Farz namaaz waqt par ada karta hai aur pehle un namaazo ki qaza padh leta hai jo chhut gai hai._
*_5 waqt ki Qaza namaaz me Rak'at ki ta’adaad : Fajr 2, Zohar 4, Asr 4, Maghrib 3, Ishaa 4, Witr 3._*
************
_Maah e Rajab ki 27wi taarikh ko namaaz e Zohar ke baad_
_4 rak'at namaaz ek salaam se padhen._
_Pehli rak’at me Surah Faatiha ke baad Surah Qadr 3 martaba, Dusri me Surah Faatiha ke baad Surah Ikhlaas 3 martaba, Teesri me Surah Faatiha ke baad Surah Falak 3 martaba aur chothi me Surah Faatiha ke baad Surah Naas 3 martaba padhen._
_Salaam ke baad Durood shareef 100 martaba aur Astaghfaar 100 martaba padhen._
_Phir yaqeen ke saath ALLฤH sub'hฤn wa ta’ala ki baargaah me us ke Habeeb sallallฤhu alaihi wa sallam ke waseele se dua karen. In shaa Allฤh ALLฤH ta’ala har jaa'iz muraad puri farmaega._
**************
*_Maah e Rajab ki 27wi taarikh ko Roza rakhen._*
*_27 Rajab ko Roza rakhkar Iftaar ke waqt Dua karna, 10 saal ke gunaaho ka Kaffaara hai._*
*_Hazrat Salmaan Faarsi radiy-Allฤhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki : Huzoor Rasool-Allฤh sallallฤhu alaihi wa sallam ne farmaaya_*
_‘27 Rajab ko Roza rakhne ka แนกawaab 100 maqbool Roze ke baraabar hai.’_
*_(๐Sho'ab-ul-Eimaan)_*
_Jis ne 27 Rajab ka Roza rakha us ke liye 60 mahine roza rakhne ka แนกawaab hai._
*_(๐Al-Ghunyatut Taalibeen Taariqi lil haqqi, Jild -1, Safah -182)_*
_๐ ALLฤH ta’ala us ke Habeeb sallallฤhu alaihi wa sallam ke sadqe me Aur Ahle bait waseele se aur Auliya Allฤh aur Shohada ke waseele se Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Sab ko Nek amal karne ki aur Gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae. Aur is mubarak raat me ALLฤH ta’ala ki raza ke liye sahi tareeqe se Ibaadat karne ki taufiq ata farmae aur humari ibaadat ko qubool farmae is Group ke Tamam members ki Jayez muraad ko pura Farmaye Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Har pareshaani aur Ranj o gham se najat ata farmae aur Sab ki nek jaa'iz muraado ko puri farmae Aur Corona Virus Jaise Waha se Hum Sunniyon ko Mahfooz Farmaye._
*_Aameen._*
๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐
*๐ MASLAKE AALA HAZRAT ๐ด*
Comments
Post a Comment